Wednesday, October 22, 2008

jab nikale ghar se nit calicut ke liye

Waise to jis din NIMCET ka result mila NITC se apna bandhan jud chuka tha par pata nahi kyon dil ke kisi kone me ek kami si rah gayi thi.shayad wo kami nahi ek darr tha apne degree ke saathiyon ko chorane kaa yaa dil bekarar tha naye doston se milane ke liye, jo bhi ho apna charcha to har jagah fail chuka tha ki ladke kaa nitc me selection ho gaya hai . Par meri khusi to poori tabhi hoti jab mai poori tarah se join ho jata. aur aakhirkaar wo din aa hi gaya jab humne subah subah Kotma station se apne NITC ki yatra ka subharambh kiya.45 minut ka safar poora karke hum Anuppur station pahunche par wo 45 minut aisa laga ki border film ka sunil shetty mai hi hoon aur mujhe border par jana pad raha hai wo bhi aadhi raat ko.har wo cheej jo train se ,mai apni dono aankhon se dekh sakta tha ,maine aise dekha jaise shayad mai fir kabhi unhe dekh nahi paaungaa , aur fir poore safar me ek hi khayal dil me ki kaise honge wo log jinke saath mujhe aage ke teen saal bitane hain , saath me pitaji the aur mujhe dekh unhe aisa lag raha tha ki mai shayad ragging ke darr se saant hoon , aur fir kya , har aadhe ghante me ek baar mujhe wo apni baat se Sikandar yaa kaho Hitalr jitna mahan prove kar dete aur mai khush . yehi silsila chala chennai tak . jab raat 12:00 baje hum chennai se choote to dil ki dhadkane kuch soch soch ke apne aap hi tej hone lagi aur kab hum keral ki haseen vaadiyon me utar gaye pata bhi nahi chala,aur fir karib 9:00 baje ke aaspaas hum shayad palghat ke karib the aur thand se haalat kharab thi fir bhi na jaane kyon train ke darwaaje ke paas khade hokar us scene ko jiski tulana us samay mera dimaag HARRY POTTER ke kisi film ke scene se karne laga tha , dekhne ke liye mai karib aadha ghanta darwaaje par hi khada raha .Jab mai waapas apne berth par gaya to papa ne kaha kuch khaayega aur ishara ek keral ki item 'ladki nahi' , food item ki taraf kiya , tab mai us item kaa naam bhi pronounce nahi kar paya tha aur ab bhi nahi , mai use podambari kahta tha , wo tha ek pake kele ka pakuada , maine jhat se chaar le liya aur pahla tukda muh me rakhte hi raat ko chennai me khaya hua bhi baahar aa gaya , bas wo hi mera keral me pahla aur yaadgaar incident ya kahen accident tha . aur phir hum shornur me utar kar ek passenger me calicut ravana ho gaye . Ab har pal nigaahen har station ke board par calicut dhoondane lagi aur aakhirkaar hum ek station par ruke jahan kaafi log utar rahe the aur station par kuch ajeeb sa " KOZHIKODE " likha hua tha aur tabhi jo humaare liye ab normal hai ek keral ke sajjan purush ne bina pooche hi hume bataya ki yehi calicut hai bhala ho keral wasiyon ka jo bina kahe hi help ke liye taiyaar rahate hain aur hum chalti train se kisi tarah se keral ki is paawan bhumi par apne charan kamal utar hi diye . Aage ki kahani hum apne agale post me kahenge waise bhi ye humara pahla blog hai...........

6 comments:

Sharad Akhilesh said...

A good start......use ur full havabazi in blog....dikha do ki tum ek aise pradesh se bolong karte ho jo writers and poets ka garh raha hai........keep regular postings in blog....aur han u 've choosen pinky blog page.....koi khas vajah?????

Sharad Akhilesh said...

mast likha hai tune.
color toh jakhass.
kohinoor color love itsoce

vipin said...

Mast tha ... ye to kisi Hindi Sahityakar ki zuban lagti hai .. mashallah kya khoob likha hai.. mujhe program submit karne hain aaj hi par galti se maine aap blog ke link par click kya kiya.. mujhe pura padhna pada ... haan ek kami zarur rah gayi .. kotma se anuppur ka safar kaisa tha uska thoda brief me description dena tha..

Unknown said...

Are sir aap toh bada acha likhte hain per kahani ruk kyun gayi main toh scroll down karne ki koshish kar rahi thi ki kuch aur padhne ko milega.... aage kya hua wo bhi toh bataiye.... krissh dekhi??? time nikal kar thoda aur likhiye....kafi acha hai sir

Anonymous said...

It's a true expression of feelings. Everyone feels this but there are few who can express in words.U have done it in a very beautiful manner.Keep it up...keep writing...keep expressing !!!

Anonymous said...

Baaki ki kahani kahan h....
well abb AMDOCS ki kahani start karana...........
Very nice expression of feelings.