Tuesday, November 4, 2008

nitc ke rang munch par pehla kadam ....

namskaar...is nitc yatra vrittaant ka important stage to yahi tha ki humne calicut ki paawan bhumi par apne kadam rakh diye the. ab papaji ke mann me tha ki jaldi se apne bete ki kalashaala ke darshan kar liye jaayen par humaare mann me kuch aur hi tha...(tabhi Krissh release hui thi ) . par papaji ke kahe anusaar humne wahin paas me hi ek lodge me room liya wahan saman rakha , fresh huye aur chal pade palayam bus stand ki ore. sach kahen to bas searh karne me tanik bhi pareshaani naa hui . bus ke aage jo likha tha REC-NIT.
aur fir poore raaste bus waale se ek hi sawaal "aa gaya kya bhaia REC" , aur uska ek hi jawab "ayega baba ayega " . aur mai shayad lucky tha jo bus ki us side pe baitha tha jahan se 12th mile ka "Welcome to nitc campus " board dikhta hai .aur bas fir kya dil ki dhadakan aur PT Usha ki atma jaise olympic khelne lage hon.Aur fir 3 din pahle ghar se nikale raahi kisi tarah nitc ki pavitra bhumi ke sparsh kar sake . Aisa laga jaise hum pahle se hi is jagah se vaakif hain aur bina kisi dikkat ke hum main gate se andar gaye aur main building tak ka ek round maarkar bina kuch kiye bina kuch pooche waapas bus stand par , kyonki tab Krissh nitc par bhaari pad raha tha aur hum apni nitc ke rang munch ka keval gate pass dekhkar waapsa aa gaye usi lodge par jahan hum ruke the ......abhi bhi shayad nitc ki life chaalu nahi hui thi ...uske liye intejaar kijiye agale post kaa.................

No comments: